Baat barhi hai hayaa se agaye to hijab phir kaisa
Tumhe jaana hai to jao, roz roz ka ye azaab phir kaisa
Tum haqiqat bayan nahi karte aur jhoot ke qael hum nahi
Bachin hain faqat khamoshian to lafzon ka hisaab phir kaisa
Challo tasleem kar lete hain kay zaalim hum hi hain
Musalsal humse ye silsila-e-sawaal o jawab phir kaisa
Khuaab jalanay se bhi roshan hua na ashiyaana mera
Iss tareekhi se jhoota waada-e-mahtab phir kaisa
Bohot mushqilon se sambhala tha khud ko “Zaib”
Baar baar usse soch kar ek naya izterab phir kaisa