Maikhana

Har shab ki tarah wahan viraana tha
Jo shiqasta dillon ka thikhana tha

Jamghat bhoolay bisray faqeeron ka
Aaj abaad saaqi ka maikhana tha

Mulaqaton ke silsile shuru huay to laga
Gham mein shareeq naya dostana tha

Kahin ranjish-e-hijr, kahin umeed-e-vasl
Silsila kahanion ka kuch rawana tha

Khamoshi se ki adaa rasm-e-mehfil
Qissa ajnabi ko shayad koi bhulana tha

Thamma uski ankhon mein saddio se jo
Samunder-e-gham wo koi puraana tha

Humare dhuk ka bandhan bana pukhta
K shariq tanhayi mein wo anjana tha

Jalaya itnay shauq se jisko dunya ne
Meri hasraton ka wo parwana tha

Aksar tanhayon mein dhoonda usse
Jab kabhi dil-e-veeran ko behlana tha

Kaisay batlaate jo guzri mujh par
Dastoor-e-dunya bhi to nibhana tha

Kahin manoos-e-waffa na hojayen
Issliye mera hausla usne azmana tha

Taqdir-e-barbad phir abaad nahi hogi
Jataa kar ye harjayee ne rulana tha

Milayeen nahi ankhein waqt-e-rukhsat
Mujhe chor kar achanak uska jaana tha

Ranj-e-judai bardasht karta wo bhi kaisay Zaib
Bewaffayi-e-yaar mehez uska bahana tha