Aur bhi thay

March 2009

Kuch chiraagh armaanon kay jalanay aur bhi thay
Honay kayliye khaak yahan parwane aur bhi thay

Bichaye humne iss falak pe sirf yahi nahi
Tootay huay khuaab sarhaanay aur bhi thay

Ajab hai ye mohobbat jo mohtaaj kar deti hai
Warna takht to humne giraane aur bhi thay

Uss ranjish main kaisay guzra waqt kya malum
Tab to humme dil behlaanay aur bhi thay

Gar paar na karti ruswayi dehlees-e-zabt
To kuch dair ye zakhm sehlane aur bhi thay

Dar-ba-dar hotay hain bewaffa sunna tha, magar
Kyun mere baad uske thikaanay aur bhi thay

In roshniyon mein siyah honay ka waqt na aata
To kuch qisse tumhe “Zaib” bataanay aur bhi thay