February 2011
Jaanay kyun achanak ye raastay viraaan lagte hain
Jo thay apnay kabhi, aaj wo bhi anjaan lagte hain
Kya tha uss mein kay maan behte usse hum khuda
Aur usse inteha-e-ishq main bhi hum faqat insaan lagte hain
Paaye nahi jaatay zehen mein uske naqsh-e-mohobat
To dag-ma-gaaye huay kyun apnay imaan lagtay hain
Bhikre hain kitnay hoslay ankhon ki gehrayyon main
Thamay huay ye ashq bhi mujhe aaj toofaan lagte hain
Na firaaq hai na visaal hai, uska ehsas bhi ik saraab hai
Uske diye huay dhuk bhi aaj tak ehsaan lagte hain