Faraghat hai aaj, qissa purana koi suna tum dena
Siyahi na sahi, lahu se vark nikhaar tum dena
Ajaati hai jaan afsaney mein ranj o gham se
Youn ghamgeen dunya ko banaa tum dena
Nammi-e-asmaan mein ghuljaye ye suraj jab
Humari kisi yaad mein jaam uthaa tum dena
Nazakat se tarashay jahan dünya walon ne aib,
Dagdaar uss khudi se kar wafaa tum dena
Bazaar mein roz bhatki aarzu-e-Zuleikha, lekin
Parsa mohobbat ka parcham lehra tum dena
Kabhi hijr par to kabhi vasl par hui fidaa jo
Uss neend ko humare baad manaa tum dena
Phir se manay bewaffayi ke laeq wo humme
Kabhi fursat mein haath dua mein uthaa tum dena
Khamoshian hain kab se tere mazaar par Zaib
Jhoot hi sahi par kabhi wahan ashq baha tum dena
You must log in to post a comment.