Kabhi yaad kia to kabhi usse bhulaa kar bhi dekha hai
Iss be’mani dunya ko humne azmaa kar bhi dekha hai
Dhoka hai naya sa aur mein hoon adab-e-firaq se nawaqif
Us se nazdikiyan to kabhi faasla barhaa kar bhi dekha hai
Musavvir bhar nahi paata kissi bhi rang se iss khalla ko
Issiliye waqtan fa waqatan muskuraa kar bhi dekha hai
Munkir ho jaatay hain jab kahin uska naam koi leta hai
Uske afsanay ko dil mein kab se dabaa kar bhi dekha hai
Ke laut aye wo, kabhi diye vastey guzishta mohobbaton ke
Kabhi talkhion ka teer kamaan se chalaa kar bhi dekha hai
Dosti kya, koi humdardi bhi jataye to aetbar karte nahi ab
“Hote nahi sab aik jaisay” khud ko behlaa kar bhi dekha hai
Tumhe waffa seekhna hai to humari tareekhion ko parakho
Maujud rehti hai jab kabhi khud ko jalaa kar bhi dekha hai
Jalwon mein raakh to kabhi saleebon pe charha insaan
Tere aagaye ae khuda maine sarr jhuka kar bhi dekha hai
Tujhse nahi harjayi shayad apne naseeb se haaray hain
Issi khayal se hath ki rekhaon ko mitaa kar bhi dheka hai
Tumhari waahid adaa pasand ayee “Zaib” maut ko shayad
Ye jo saanson par tumne ehsaan jataa kar bhi dekha hai.
Notes
Musavvir – Artist
Khalla – empty space
Waqtan fa waqtan – occasionally
Guzishta – past/gone
Talkhion – bitterness
Tareekhion – darkness
Saleebo – Cross/crucifix
You must log in to post a comment.