Baadlon se bhikar kar shayad registan ho jaon
Mumkin hai falaq se toot kar mein raigan ho jaon
Tumhe to aadat ho chuki inn vehshaton ki
Mein teri dunya mein shayad viran ho jaon
Tere haaton mein sansein bhujti jaa rahi hain
Aisay na kahin rekhaon ka nishan ho jaon
Faraghat mein shayad beht kar socho mujhe
Youhn teri likhi hui koi dastaan ho jaon
Jis aqeedat se sambhala tune mujhe
Youn tera harf e dua ya imaan ho jaon
Azadi likhi jaati hai gham e judai se agar
Phir kyun na apni parwaz se anjaan ho jaon
Mat daal iss qafas ki aadat youn mujhe kay
Ashiyane par pohonchu aur be’maqan ho jaon
Jaloon shu’aon mein ya uljhoon aandhion se
Kaisay teri kissi aarzu ki uraan ho jaon
Tareekhion mein roshan hain ab bhi kuch sitaray
Azmaa kar dhek “Zaib”, shayad tera asman ho jaon
You must log in to post a comment.