Zawaal

Ya hain aajiz ya mohobbat ko zawaal hai
Poocha nahi shayad uska bhi yahi haal hai

Humari waqt se bhi koi wabastagi nahi rahi
Kya maalum mulaqat ko hua din ya saal hai

Tarq-e-taaluq ke dhang aaye nahi mujhe
Kabhi usse judai to kabhi shauq-e-visaal hai

Mere pehlu mein zikr kissi aur ka karta hai
Ye bewaffai nahi mehez uska jamaal hai

Uske sab jhoot kaisay sach na hon batao
Jabke vazaahaton ki uske paas dhaal hai

Ajeeb lagta hai dil ka sukoon bhi ab to
Lehaza silsila ranj-o-gham ka bahaal hai

Koi acha bhi laggay to harkat nahi karta
Ye berukhi kyun, apne hi dil se sawaal hai

Sab barbadian be’sabab nahi hoti Zaib,
Mumkin hai iss mein khuda ki koi chaal hai

Notes
/Bahaal/ – Ongoing
/Be’sabab/ – Without means
/Harkat/ – Movement/show signs of life
/Jamaal/ – Elegance/beauty
/Lehaza/ – Therefore
/Tarq/ – Abandonment
/Vazaahat/ – Explanation
/Visaal/ – Meeting
/Wabastagi/ – Association
/Zawaal/ – Decline/ending