Meri zaat se toot kar wo shakhs begaana hua
Uss zamanay ko bhulaaye huay bhi zamana hua
Hai mustaqbil ghafil mujhse aur maazi naraaz
Iss khalla mein bhikarnay ka jaisay bahana hua
Ranga uske rang mein aur khilla uske dhang mein
Kay fareb karne par bhi na dhukh na ghabrana hua
Mujh mein aib taraashne ka aik hunar tha uss mein
Bohot mushqil se mera daaman ko bachaana hua
Kitni raghbat thi uske naam se pehle pehle
Ab to jaise uska zikr bhi mujhe sataana hua
Udaas parinde bhi dene lagay hain sadaa
“Laut jao, bohot intezar main jagna jagaana hua!”
Gar nadamat mein khud hi sulagte rehte hain
To youn be‘maqsad kyun meri raakh ko jalana hua
Mere naseeb ke baadal barse hain kahin aur,
Youn uska mere harf-e-dua mein thikaana hua
Doorion se usse vehshat aur qurbaton se darr
Batao kya chahte ho ke bohot ye aazmana hua
Kab tak zabt ki giraft mein ulajhta rahoon mein
Ae sitamgar bas kar, bohot tera rulaana hua
Dene hain yahaan bhi agar vaastay khuda kay
To phir ae saaqi kiss kaam ka tera maikhana hua
Kyun uljhaa rahay ho meri saanson ko tum youn?
Jaanay bhi do na ke ab, bohot jaan se jaana hua
Mat poocho mera haal, karo na hamdardian
Ab bas bhi karo Zaib! Keh dia na, tamam wo afsana hua!
*Notes*
/Aib/ – Fault
/Begaana/ – Stranger
/Be’maqsad/ – Without reason
/Fareb/ – Deceit
/Ghafil/ – Neglecting
/Hunar/ – Skill/art
/Maazi/ – Past
/Maikhana/ – The Pub, bro!
/Mustaqbil/ – Future
/Nadamat/ – Regret
/Qurbat/ – Closeness
/Raghbat/ – Attraction
/Tamaam/ – Complete
/Taraashna/ – Carving/engraining
/Zabt/ – Restraint / control
You must log in to post a comment.